Monday, 23 March 2015




Dosto,Google Adsense me site authorization ka ek feature hota hai jiske dwara aap apne website ko google ads display karne ke liye authorize kar sakte hai.Site ko authorize karne ke liye niche diye gaye steps follow kare :

1) sabse pehle Gear icon ko click kare aur setting ko select kijiye



2) sidebaar me cick kare " Access and Authorization

3) waha ek check box milega jaha per likha rahega

 "Only allow certain sites to display ads for my account"

4) Waha per apko uss website ka URL enter karna hai jisko aap Google ads display karne ke liye authorize karna chahte hai.Uske baad save ko click kar dijiye.


Agar apne site authorization feature ko google adsense me enable kar ke rakha hai aur apke pass koi aisa website hai jisper google ads display to kar rahe hai lekin wo authorized list me nahi hai to uss website per ads to show hoga lekin agar visitors uske uper click karte hai to apko uska koi earning nahi hoga.

Agar aapne site authorization feature enable kar ke rakha hai to yeh sunischit kar ke rakhiye ki apke sabhi website Authorized list me add hai jis per aap ads dispaly karwana chahte hai.

0 comments:

Post a Comment